Posts

Showing posts from December, 2024

Sard Khayalat (Audio Version)

Image
                                                  Listen  Sard Khayalat  on You tube                                           By Usman Ghani

Qalam (Audio Version)

Image
                           Listen  Qalam  on You tube                                                    By Usman Ghani                   

Sard Khayalat

Image
  Kyun hun saab se door ab main sochta he nahi  Saal par saal ab koi saal mai ginta he nahi  Ye sard raatein aur gham ki kahaniya  Main kahun bhi to kya koi sunta hi nahi  Baar baar har bar bus rahe yehi sawal Kyun ab wo zindagi main tikta he nahi  mere saath kahi dikhta he nahi  Bewaja kay khulasay  Dil mein mayyat ka samaa Ab to khushi bhi zindagi main aati jaati nahi  Kushk pato per likhu main aur likhu main saray shikway  Jaise sari bedardiya bus muqadar mera  Tu hai to hai bus gunah mera  Main bus khud ye keh raha chup chaap sab seh raha  Teri yaad aisay jaisay sard hawa ka koi thikana na  Hum to hum hain par hum main ab kuch hamara na Do pal ki mulaqat mein woh humein hamisaha qabool hi raha Jaisay chaand se koi tara zara door he raha  Dil mukhtalif is ko bhi koi kafir manzoor na mila  Bus mila to bedard kahaani ka fasaana na mila By Usman Ghani

Gehri Raat

Image
  Raat aur main Baat or tum Safar ka kafirana rasta Bheed mai anjane hum Lagti hain thokray par nishan kaha hongae Mukhtasar si baat main kaha pora tamasha mera Sharabon mein doopay qalam se kaise kuch saaf likhu Main teri baat likhu ya khud ka anjaam likhu Maaf karo mujhe ya khol kar barbad karo Kaandha do mere janaze ko aur hastay hastay mujhy abaad karo Na karo jo, to meray mitnay ka intizar karo Warna apna qisa rafa dafa sar-e-aam karo Main halaak apnay hi alfazo se Main betaab sirf tere khayalon se Meri haar tera jaana Raat ka andhera main Teri kaali zulf ka sitara mai Do pal ko mayasser phir gehra andehra main By Usman Ghani

Paysa Bewafa

Image
  Pal do pal ka saath phir wahi kali raat hai Paisay ki mat kar baat yaar ye srif 25 tarikh ki maar hai Shuru k chaar din khush main jaisay poch dalay ansu Bill will ki fikar nahi jaise abhi mein bilgates ki tesri ulaad hun Wo alag baat hai k 15 k bad fikron ki ek nae maar hai Savings k naam per soch mein srif khali gulak hai Layna hai mujhko wo sab kuch is kamaee ki soch se jo koso door hai Kaha na paisay ki baat mat kar yaar ye srif 25 tarikh ki maar hai Muh mein hazaron ki baat, wo alag baat hai jaib mai sirf 2 hazaar ki saugaat hai Qisa e jawaani ki naqaami main bhi sab paiso ka hi haat hai Hum kammae to chillar Par jaibo par andar kai zemadrio ka aambaar hai Paiso se nahi bantay bus kudrati hain ye ansu Bewafa paisa jaise hai bus ek tarfa tarazu Is ne tolay rishtay, phir banta tujh ko alag mujh ko alag us ko alag Maal jis k pass bas wo hai khassum khas Baki sach pucho to duniya main sab bakwas Laalach bimari or mout ki koe dawa nhi Bewafa paisa jesay mar raha tu or jhaagdra ki...