AB MAIN MUSHKIL

Ab mushkil mera pehle jaisa hona Ab mushkil mera roo ba roo khud se hona Ab mushkil mera aitbaar k raston par chalna Ab mushkil tera mujh mein wafa ka ayeena dhoondna Main sangdil ya mein khud ka khud hi qatil Maaf ho meri sabhi gustakhiyan Ya phir saza mein meri kahani na ho Ab mushkil sach or jhoot mein kahani ko batana Rishton ko chupana khud ko mitana ya main jo nahi hoon wo ban k batana Bataun main kya tumhein dil ke lafzon se main jo likh raha sach ki tehreer likhun or utha doon sab parde or jismo ko mita do or zakhmi rooh o ko dikhaun Mein likhun zindagi aur tumhey tum se milaun Main shab mein besabab jesa teri lataluki Aja kbhi baat to kar koun ghalat koun sahi Ye elaan to kar Chaar diwari mein bhi reh kar hum zamane ko zamane se likh rahay Hum saray tano ko tamashun main badal rahay Hum khud hi se khud ki mulaqat kar rahay Jese shaaraab ko sharaabio se tol rahay Afsano mein likhu kya jab zindagani ki kitab he khaali Wo mujh se poch rahay pata mera Jinhey khud hi nhi pata...