KAM KARO TO KAMYABI MILTI HAI
Kam karo to kamyabi milti hai
Khali baaton say na ghareebi mitti hai
Ye kaisi zindagi jo akaylay na kati hai
Bus do niwaloon main zameer ki mitti bikti hai
Her gunnah main raaz gehra hai
Tum na mano gae per yaha to such bhi ab behra hai
Perhi jo school main patli si ek kitab such wo batlati hai
Zindagi k kachay raaston per her manzil ab jhooti si nazar atti hai
Ye mujh main main jo gum sa hoon
Bus apnay he andar jo soon sa hoon
Tumhae ab kahan zamane ke shor mein
Meri cheekh samaj mein aati hai
Rakh do jo kisa-e-bayaan zuban per
Apni phir tumhae kyun her raat ansoo main doobi nazar aati hai
Hai ja ba ja yun he to nahi har taraf bhook ka bol bala
Zindagi ab mujhe har cheez ki seemati si nazar atti hai
Kafea qaid mein Kuch khwahishein Nazar atti hain
Chuti sub hi manzilon ki yaad wo dilati hai
Na pouch qissa-e-jawani-e- yaar zamane ka
Mujhe to ab apni taqdeer bhi simati hui nazar aati hai
Khali waqt jo baith k guzar dea
Mujay ab wo zindagi waqio mein Nazar aati hai
Kam karo to kamyabi milti hai
Khali baaton say na ghareebi mitti hai
By Usman Ghani
Comments
Post a Comment