Posts

Showing posts from February, 2024

KAM KARO TO KAMYABI MILTI HAI

Image
  Kam karo to kamyabi milti hai  Khali baaton say na ghareebi mitti hai  Ye kaisi zindagi jo akaylay na kati hai Bus do niwaloon main zameer ki mitti bikti hai Her gunnah main raaz gehra hai  Tum na mano gae per yaha to such bhi ab behra hai  Perhi jo school main patli si ek kitab such wo batlati hai  Zindagi k kachay raaston per her manzil ab jhooti si nazar atti hai  Ye mujh main main  jo gum sa hoon Bus apnay he andar jo soon sa hoon Tumhae ab kahan zamane ke shor mein Meri cheekh samaj mein aati hai  Rakh do jo kisa-e-bayaan zuban per Apni phir tumhae kyun her raat ansoo main doobi nazar aati hai  Hai ja ba ja yun he to nahi har taraf bhook ka bol bala  Zindagi ab mujhe har cheez ki seemati si nazar atti hai  Kafea qaid mein Kuch khwahishein Nazar atti hain  Chuti sub hi manzilon ki yaad wo dilati hai Na pouch qissa-e-jawani-e- yaar zamane ka Mujhe to ab apni taqdeer bhi simati hui nazar aati hai  Khali waqt jo ba...

Gunehgar

Image
Jane ye kesa gunah kar Lea  Jo besakooni ka soda umar bhar ka kar Lea   Zameer ka qibla hi badal gaya hai  Shayad usne mere dil mein apna ghar kar Lea hai  Intishaar k saye mein rishtay kaha panaapty hain Shayad yahan apne he apno ko dastay hain  Beqasoor wo jis ka koe gawah nahi  Khud ko khud hum sab bata rahe phir bhi hum sab se chuph rahe Kandho par gunahon ka bojh itna  K ab hum umar kay salo mei dab rahay  Munazray khatam na ho rahe humare ab  Tu beqasoor mein beqasoor  Yun hie zehni sakoon mitta rahay hum   Kia likhu kuch samaj hi na aaye Sub bhool jaon phir bhi mujhe malaal aaye  Teri ankho ki girafat mein jo gunnah kar liya Phir hum ne kaha kahin apna ghar kia  Ab jo zindagi mein basar karta hun  Wo kaha koi tasawur karta hai  Dil k qabristano mein bhi kaha koe gunehgaro ko dafan karta hai  Gunahon ki kitni sarhadein paar mein kar aya  Dekh tere liye mein kya kar aya  Rastay khatam bhi...