Posts

Showing posts from January, 2024

Zindagi

Image
Kagaz si ulfaton se bhari rangeen jawanio ki kahani kiya likhu  Fursat k lamhon ke baigani se afwaahain kya likhu  Guzre hue shab mein beetay huay lamho ki kahani kya likhu  Uski baaton ki kahaniya kya likhu  Agaaz se anjaam tak ka safar kia likhu  Asmaa pe zamee ki chaadar kia likhu  Do lafzo mein ki hue zindagi ki battain kia likhu  Tu bata likhu to ab mein kya likhu Tanhaaeya likhu ya betabiyan likhu Arzuea likhu ya faryade likhu Betaab dil ki kahaniyan bata kya kya likhu  Afsano mein bayan karon ya aashar-e-falsafay kahon  Tu bata mei haal-e-abraar ab kya likhu Roz ba roz her roz ki faryad likhu  Ya bus ek kahaani sar-e-bazar likhu Atiah-e-muhabbat ik bar likhu  Ya sari khataea ik bar likhu  Zindagi Jo sochi wo likhu Ya Zindagi Jo hum pe beeti wo likhu  Tu bata ashiyanay meray kitni baar kis kis terha jalay wo likhu Us k zakhmo ki rumani wajaien likhu  Ya meherma na milne ki wajahain likhu  Jo likhu to bus il...

Dhoop

Image
Her rishta dhoop sa zindagi mei baki hai  Jesay koi yaad dhoop ki chaon mein baki hai  Tumhare jaane ki tapissh bhi baki hai Ye ankho ki jalan bhi baki hai  Her su tere aane ki aas bhi baki hai  Hum jal rahe hain saya-e-yaar mein ye baat bhi hum mein he kahin baki hai  Har nayi kiran k saat zindagi ki udassi badti hai  Jesay koi zindagi ki khalish zindagi mein baki hai  Lagta hai seene mein dhoop si chubhti koi umang baki hai  Mein zindagi mein tere saye dhoondu bhi to kaha  Yaadon ki tapissh mein raah bhi to sahi say dikti nahi  Itfaq hai k zindagi mein sakoon ki barishain bhi hoti nahi  Humari tumhari rimjhim se koi mulakat bhi to hoti nahi  Ek ajeeb kashma kash mein umar mehtaab rahi  Tumhare jane k baad bhi tuhmari baat sarr-e-aam rahi Madhoshi ho ya na bhi ho  Zindagi ki har nayi dhoop mei teri baat rahi  Nadaan, nasamjh mujhko ya kuch bhi tum khey lo Wo to honay he chalay thay hamare aur hum huea yuhi nelaa...

Qalam

Image
Jo utha lu qalam to bebak likhu  Agaaz liku ikhtitaam likhu  Arsh se farsh tak such ki ek lakeer likhu  Phir us mein zamane ki tehreer likhu  Phir qalam ki nok se anjuman e aiyaariya likhu  Zamane ki makariya likhu phir apne anjam ki tayariya likhu  Saza e dastan likhu Hussain ka malaal likhu Mein is qalam se barbadio ka ek mazaar likhu  Kuch do pal k sakoon ki chah likhu Teri ankho ki shararat se le k tere jaane ki nadamat likhu Wafae likhu jafae likhu  Mein mohabbat mein ki gayi sab khattae likhu Aabaad likhu barbaad e jawani likhu  Zameer ki her us aatish e qalb ki bezuban faryad likhu Mei kal ko ajj likhu aur ajj ko kal likhu  Jo likh saku to mein saza e saari hayat likhu Jo utha lu qalam mein to saza e makafat e ammal ki bhi baat likhu Ujre hue lafzon mein, mai jawaani ki har baat likhu Beete waqt ki nadaniyaan likhu Ayaz likhu faiyaz likhu ya waqt e nu ki aukat likhu  Is qalam ki zubani ek saya e yaar likhu  Phir usay khu...

Mera Saya Meri Maa

Image
Jub Sub Khety Jhoota Tu To Ek Sucha Tara Mera Mujhy Kheti Meri Maa  Meri Rangbirangi Zindagi Mein Her Roz Smile Ka Trend Lagay Meri Maa  Jo Peechay Mud Ke Dekhun To Gham Ka Saya Mitae Meri Maa  Meri Kismat Ki Lakiron Ko Badalna Chahae Meri Maa  Do Jahaano Ki Khushiyan Bus Do Pal Mein La Kay Mujhko Dena Chahae Meri Maa Ye Dunya Ka Raaz Kesa  Hazaar Logon Ka Sawal Aesa Waisa  Per Maa Aaj Bhi Pooch Rahi Beta Khana Kesa  Gher Say Defter Sau Logon Ki Khatirdari Per Jub Mein Gher Pohchun Tou Jaisay Meiri Maa Ki Ek Mein Hi Zimmedari  Meray Bachpan Ki Kahaniyan Wo Sab Ko Hai Soonati  Mein Seekha Jo Bhi Hison Mei Wo Qison Mein Sab Batati  Munafiqat Kay Is Door Mein Ikhtilaf Ghera Hai  Tu Dhoonday Kia Jahaan Mein Jub Ek Maa Ky Naam Mein Jahaan Tera Hai  by Usman Ghani

YALGHARE - E - FALASTEEN

Image
Wo ek kaali raat ke saaye mein sub ruk gaya  Asmaan to rooshnio se bhar gaya mager ghar ujjar gae  Zindagi bhar ka sab samaan kahi bik gaya Kahi pairon k nishaan reh gae to kahi deewaron per lahoo jam gaya  Dekh mere sheher ki sadgi ye duniya mein kitna tanha reh gaya  Ab bus aafaton ke ambaar barastay hain roz  Ab na naane bachay hasty hain roz  Ab ek khauf sub pe tari hai k ab is shehar ke afsane mein agli kis ki bari hai  Wo apna zameer mar ke humein marty hain roz  Wo maut ko maut se milaty hain roz  Wo ab bhi nadan hain jo humei maut se daraty hain roz  Mere gulshan k chaman mein jo phool khilne thy sub murjha gae  Jinhay agay barna tha unhai hum kahi dafna gae  Had to had ye hai k hum khud se khud takra gae Ab jo dhaal mujh pe hai wo mere kafan ki hai Maut mile gi mujhe bus khwahish mujhe kafan ki hai  Tum hazaro situmgar k sung aoo  Mein tumhe ek muthi se hi napuga  Ye meri zameen ye mera falasteen hai isa...