Cigarette
Zamane mai niklay tou hue yaariyan bhi ghalat si
Haathon mein rehti thi cigarette or chehre par aane laga tha rubabab
Shayad mere mohallay ki galiyan thi ghalat si
Zindagi jua hai sab filmo ki batay kiye jatay thy
Jab karta tha koi aane wali zimmedarion ki baat
Hum sub fikron ko dhue mein urratay he jatay thay
Do ungliyon mein basi es ek chingari ka raaz hum kabhi na ghar per bataty thay
Koi khas dost door chala jae ya zindagi ki mushkilay satae
Hum sub hi ko samait k shaam ko dhue mein uratay thay
Nukkad wali dukan per tha apna khata behisaab
Zimedariya ab kagzi nahi mere haathon mein
Wo dhue ky challo k khel tamashay ab kaha
Wo raato ko dosto ki chaat pe guzray zamane ab kaha