Haan Phir Naya Saal
.png)
Khoya kya paya kya sub mila k has k ro dia Akhir mei gar kuch bacha to humne zindagi ko pura 100 dia Aise jaise tese mila k waise teri sab yadain Adhure khwabon ko bhi humne naye saal mai piro dia mThi kuch khwaishein to kia hua ager nhi thi itni asaeshay to kia hua Hum rakhain gae puranay hi qadam naye saal mein phir zindagi mein chahe kyun na ho 100 azmaishaen Dekho mosam bhi hai ab badaal raha Jhar rahay sub patay na naya phool koi ab khil raha Mila ky saray jhoot ko ab bus akyla sach hi yahan hans raha Na dena ab meri kamiyabi ko tum koi sifarish wala haat Kay mein apni jung yaha khud akela lard raha Naye saal mein es ghalib ka sabko salam hai Per ajj bhi zindagi ka wohi purna takiya kalam hai Insaan kama raha sab terha se paise Or zameer bechara bus yunhi badnaam hai By Usman Ghani