Yun Tou Aao Kay Baat Banne
Yun tou aao kay baat bane, kehne ko ek mulaqat bane
Kar lo bahana koi bezad si zindagi se, ky ajj hone ko jo hai wo baat bane
Dekh teri ek lataluki se ab meri ek nayi pehchaan bane
Samait do wo sub qissay jo guzar gae hain
Samait do wo sub qissay jo guzar gae hain
Do qadam barhao tou ek nai baat bane
Wo yaar-e-dil ka gubar tou ek taraf, us se pehlay tumhara zameer machal jayega
Phir agar nagawaar sa guzray tum per ye lamha bhari,
Tou jaan lo is waqt mehfil main hai sub par qayamat tari
Ye kaysi anjuman hai jis mein ek sirf tu bewafa hai mein nazar uthaoun bhi tou meri ek tu hai Duniya sari
Chalo hum kuch na kahain gae bus chup hi rahenge or mita dea gea sub alfaaz humare
Tum ek qadam barhao tou sunne ko sargoshi humari
Ab un se kya chupaoun mein aur unhe kya bataoon mein kay us nay meri duniya kahe or basa Dali saree ki saree
Kay khali wajood liye phirtay hain hum bazaaron mein
Kay khali wajood liye phirtay hain hum bazaaron mein
Kay kharidaar bhi puchte hain kaha qeemat gawa dali
Yun lag raha hai tum ab bhi laut aao gay
Sach puchho tou itna sub sunn k tou tum doob mar jao gae
Ye wafa ki nazam nahi tera qissa-e-bewafai hai, sach pucho tou humein ajj bhi teri yaad aye hai
Chal chod jane detay hai wo sab kal ki baatein ek akhri saans mein kar he laitay hain sab mulaqatein
Hum he teri parva karain ye lazim to nahi tou bhi mujh se milne ko a tou sahi
Or qadam qadam pe ye na sochna k mujh se milne ka bahana kiya hai
Arzoo itni hai qissa zara sa hai
Arzoo itni hai qissa zara sa hai
Afsana khud ban jayega tum aao tou sahi
By Usman Ghani
Comments
Post a Comment