Yun Tou Aao Kay Baat Banne

Yun tou aao kay baat bane, kehne ko ek mulaqat bane Kar lo bahana koi bezad si zindagi se, ky ajj hone ko jo hai wo baat bane Yun tou kehne ko kafir thay kafir hain kafir rahein gae, Dekh teri ek lataluki se ab meri ek nayi pehchaan bane Samait do wo sub qissay jo guzar gae hain Samait do wo sub qissay jo guzar gae hain Do qadam barhao tou ek nai baat bane Baat wafa ki na nikalna ke sub bikhar jai ga Wo yaar-e-dil ka gubar tou ek taraf, us se pehlay tumhara zameer machal jayega Phir agar nagawaar sa guzray tum per ye lamha bhari, Tou jaan lo is waqt mehfil main hai sub par qayamat tari Ye kaysi anjuman hai jis mein ek sirf tu bewafa hai mein nazar uthaoun bhi tou meri ek tu hai Duniya sari Chalo hum kuch na kahain gae bus chup hi rahenge or mita dea gea sub alfaaz humare Tum ek qadam barhao tou sunne ko sargoshi humari Hum ab bhi tanha rehtay hain or log hum se aksar ye sawaal karty hain, kay kaha basi hai Tumhari duniya sari Ab un se kya chupao...