Main To Chala Kho Jaane Kaheen
Waqt yu to asaani say guzerta ja raha tha zindagi mei mager ye waqt hi tha jo ab tham sa gaya tha zindagi aam say aam ter hoti ja rahi thi or yu lagnay laga tha ky her cheez faqat khataam see ho rahi hai lumha ba lumha socha tha ye saal bhi yu hi guzer jea ga or ahista ahista hum unhai bhi bhool jea gay jinhai hum peechay chor aea hain ya dafnaa ay hain bachpan mei ami kaha kerti thi k maazi ek black hole hai ager zada nazdeeg gay tou wahi reh jao gay ab tou samaaj bhi nhi ata k peechay kia chor ay hain or kia paanay ki firaak mei hain
wo jo muj mei tha kahi wo wajood say ashnaa ab mei nhi
wo jis insaan ko mei jaanta tha wo ab muj mei shahid nhi
wo jo terzay amaal ki haqeeqat thi ab wo is taqaful mei ab nhi
ye shararat wqat ki hai jo hum mei hum bhi ab nazer atay nhi
ye andazay beyaan hota hai ky waqt nay berbad kia halat tou kbhi kisi ky bas mei hotay hi nhi hum bus lakeero ko khata kaar samaajtay rehtay hain jub ky ye haat wahi jatay hain jahaan hum le jana chahatay hain
Sir utha k mei nay kitni kosshhh ki thi mager waqt k agay sub bebasi hai hai halaat jo bhi ager insan khud say khud ki banaee hue jung khataam kr de tou shayad waqt bhi situm na dale hum per or cheezay asaan lagnay lagay gi kafi dafa zindagi mei bohat kuch pana bohat zaroori lagta hai
uff zalim hain ye soch ky hichkolay
By Usman Ghani
🙂 nice
ReplyDelete