Posts

SALAM HUSSAIN

Image
Kya khoob kirdaar hua ro numa  Jub likha gaya 72 k khoon se karbala  Ajab fiza soogwaar hue jab teer laga tujhe aye Zuljana  Baat baith ki hai to aa beth tujhe hum batate hain  Aao chalo karbala tumhe dekhae  Jahan se ajj bhi ati hain 72 ki sadae Qissa mukhtasar nahi hai ab ye dam ba dam har dam hai reh numa  Hai Asad ullah hai Wali ullah  Hai Ain ullah  Reh gaya  akela per wafadar bana  sach ka salar bana  Rakha jo maidan mein qadam to  jesa ali ki zulfikar bana Wada wafa kar gaya sach ka rasta sab ko batla gaya  Sajjdo mei sajjada awal kar gaya  Khud ko luta, ghar ko bhi  lutta gaya  Mager deen Nana ka qayamat tak likha gaya  Ab har su nara Hussain ka hai Ali ka hai  Kabay se le kar najaf tak deen meray Hussain ka hai  Salam ho tum per ay Janam Hussain Salam ho tum per ay Ghum Khar e Hussain Salam ho tum per bhi  ay Wafadar e Hussain  Pochay koi to kehna shia sunni nahi hun mein...

Tere bin

Image
  K khali khali hain shamae tere bin  Kuch lafzon mein bhi kami hai tere bin  Likh dun tujhe yaad kar kar k ek umar sari  Ya khayalo ki ek tasveer bana dun  Per wo tasveer bhi to bad guma hai tere bin  K dil hai maghroor tere bin jaan e jan Jo sannata raha zindagi mei tere bin wo mujhy kha gaya   Banu kisi or ki nazron ka qaidi esa koi sawal hi nahi  Tu wo baat to bata humein jo yaad hi nahi  Tu baat ko yun mat ghuma ae badguman  K dil mera lakhon tukron mein bant chuka  Mei thora mushkil sa, Saray ghum apne chupa chuka Tere bin mein tujh ko bholane ka har harba apna chuka   Per mere dil mein tere intizar ka roze ek naya tamasha lag raha   Aaas meri teray hatho ki lakirain  Tere bin hum khud se ek wada liye bethay  Chaand or saanso ka karz liye bethay Ek hath mein sharab dosray mein tere sab farz liye bathay  Uljhay paray hain tere bin  Yuhi hua mein hairan ksay kuch waqat badlay insaan ko  K ...

Aakhein

Image
  Aankho ky pehray tere huea or bhi gehray ‎Daar na sakay hum zamane se kabhi ‎Chahein kyun na ho teri hi mehfilae‎ ‎Karay hum wo ishaaray jo aankhein teri chahein ‎Aesay khwab hain mere jo mujh se ye cheen leyti hain ‎Qaid si hai teri aankho mein zindagi meri ‎In main ab rehta hoon to saanso ka meri pata de ‎Jeena to zara sikha dae ‎Khud mein jo rehta hoon a tu sambhal lay ‎Shayad teri ankhon mein basa hai mera jahaan ‎Mehangi par gae teri ye ankho ki saadgi ‎Samjha mein kabhi na in ki ulfat ‎Khud ko dektha hoon jo aankho mein teri  sochta hoon zamane mein meri jaga hi kaha thi ‎Teri aankho ka ishara ksay ab mein samjhun ‎Tera jana tha itna zaroori ? By Usman Ghani

SAJNA

Image
  Ye kaisi aarzu ye kaisi paheli  K bina baat k sab main, main akeli  Teri aarzu teri justujoo  Mukamal main tujhse hoo ba hoo  Door door se ho baat  Kashmakash main rahay mehfil  Ye ankho mein elaan e jang hai kaisi sajna  Ibtida hai ya, hai ye koi ihlaam Tanhaiyon mein bhi ho teri baat kiya tu mujhe se judra musafir hai koi  Mashuray zamana hai ya tu hai koi qissa rumani  Ansooni see hai teri kahaani  Qaza meri sari  namazay sari teri fikro main Hoon abaad main shayad teri hi to serhado main

FARAIB

Image
  Main ghafil jo tere aitbaar per ruk gayi Tu kysa mard jo chaar shadio main but gaya Main lahasil see haveli jis ka koe zemidar na Tu wo matti ki muraat jis ko dil hasil na Main rishtoon main sab se gehri khae Tu jesay mard k naam per kisi yazid ki parchaae Mein mustakil mehfilo ki sanashaae Tu ajal se muqadar ki bharpae By Usman Ghani

Badalta Saal

Image
  Ab jo guzar gaya us main janay ki baat kia  Ab jo aa raha hai us main bhi jeenay ka mahol kaha  Tum kaho to hai ye nayal saal  Werna zindagi mai ab jawaani kaha  Saal dar saal ki baat nahi  Ye gham e qissa purana hai  Mere gham ki shaamo mein to saalon ko yu hi ana jana hai  Ye dil nahi siyasi is per to mehshar tak bashar ka saya hai  In chalti sanso ko to shayad jaise naea saal main kahi kho jana hai  Ye 365 din ya 12 mahino ki baat nae  Meri waqt se jaise ye pehli mulaqat nae  Mai 25 main bhi saal 24 se bahar nae Insaan ab buray waqton mein waqton ka yaar nae Sach kahi kho gaya jhoot k zamaanay lot ae Ham kaha se kaha khud ko dhoond laea Zameer kahi reh gaya per ham kahaanio ko pehchan tak lay ae Is saal se us saal tak hum musibato ko bhi hum saat piro laea Vasi safar hai koi to karam nawazi ho  Koi to saazish ho sifarish ho Beshak mukhtasar meri kahani ho  Par naye saal pe sab ki zubani ho By Usman Ghani

Sard Khayalat

Image
  Kyun hun saab se door ab main sochta he nahi  Saal par saal ab koi saal mai ginta he nahi  Ye sard raatein aur gham ki kahaniya  Main kahun bhi to kya koi sunta hi nahi  Baar baar har bar bus rahe yehi sawal Kyun ab wo zindagi main tikta he nahi  mere saath kahi dikhta he nahi  Bewaja kay khulasay  Dil mein mayyat ka samaa Ab to khushi bhi zindagi main aati jaati nahi  Kushk pato per likhu main aur likhu main saray shikway  Jaise sari bedardiya bus muqadar mera  Tu hai to hai bus gunah mera  Main bus khud ye keh raha chup chaap sab seh raha  Teri yaad aisay jaisay sard hawa ka koi thikana na  Hum to hum hain par hum main ab kuch hamara na Do pal ki mulaqat mein woh humein hamisaha qabool hi raha Jaisay chaand se koi tara zara door he raha  Dil mukhtalif is ko bhi koi kafir manzoor na mila  Bus mila to bedard kahaani ka fasaana na mila By Usman Ghani

Gehri Raat

Image
  Raat aur main Baat or tum Safar ka kafirana rasta Bheed mai anjane hum Lagti hain thokray par nishan kaha hongae Mukhtasar si baat main kaha pora tamasha mera Sharabon mein doopay qalam se kaise kuch saaf likhu Main teri baat likhu ya khud ka anjaam likhu Maaf karo mujhe ya khol kar barbad karo Kaandha do mere janaze ko aur hastay hastay mujhy abaad karo Na karo jo, to meray mitnay ka intizar karo Warna apna qisa rafa dafa sar-e-aam karo Main halaak apnay hi alfazo se Main betaab sirf tere khayalon se Meri haar tera jaana Raat ka andhera main Teri kaali zulf ka sitara mai Do pal ko mayasser phir gehra andehra main By Usman Ghani

Paysa Bewafa

Image
  Pal do pal ka saath phir wahi kali raat hai Paisay ki mat kar baat yaar ye srif 25 tarikh ki maar hai Shuru k chaar din khush main jaisay poch dalay ansu Bill will ki fikar nahi jaise abhi mein bilgates ki tesri ulaad hun Wo alag baat hai k 15 k bad fikron ki ek nae maar hai Savings k naam per soch mein srif khali gulak hai Layna hai mujhko wo sab kuch is kamaee ki soch se jo koso door hai Kaha na paisay ki baat mat kar yaar ye srif 25 tarikh ki maar hai Muh mein hazaron ki baat, wo alag baat hai jaib mai sirf 2 hazaar ki saugaat hai Qisa e jawaani ki naqaami main bhi sab paiso ka hi haat hai Hum kammae to chillar Par jaibo par andar kai zemadrio ka aambaar hai Paiso se nahi bantay bus kudrati hain ye ansu Bewafa paisa jaise hai bus ek tarfa tarazu Is ne tolay rishtay, phir banta tujh ko alag mujh ko alag us ko alag Maal jis k pass bas wo hai khassum khas Baki sach pucho to duniya main sab bakwas Laalach bimari or mout ki koe dawa nhi Bewafa paisa jesay mar raha tu or jhaagdra ki...

AB MAIN MUSHKIL

Image
  Ab mushkil mera pehle jaisa hona Ab mushkil mera roo ba roo khud se hona Ab mushkil mera aitbaar k raston par chalna Ab mushkil tera mujh mein wafa ka ayeena dhoondna Main sangdil ya mein khud ka khud hi qatil Maaf ho meri sabhi gustakhiyan Ya phir saza mein meri kahani na ho Ab mushkil sach or jhoot mein kahani ko batana Rishton ko chupana khud ko mitana ya main jo nahi hoon wo ban k batana Bataun main kya tumhein dil ke lafzon se main jo likh raha sach ki tehreer likhun or utha doon sab parde or jismo ko mita do or zakhmi rooh o ko dikhaun Mein likhun zindagi aur tumhey tum se milaun Main shab mein besabab jesa teri lataluki Aja kbhi baat to kar koun ghalat koun sahi Ye elaan to kar Chaar diwari mein bhi reh kar hum zamane ko zamane se likh rahay Hum saray tano ko tamashun main badal rahay Hum khud hi se khud ki mulaqat kar rahay Jese shaaraab ko sharaabio se tol rahay Afsano mein likhu kya jab zindagani ki kitab he khaali Wo mujh se poch rahay pata mera Jinhey khud hi nhi pata...

GUNJTAY SANATAY

Image
  Dil betab mein umeedian bohat hain  Tere jane ke baad se ranjishein bohat hain Mein khafa khud se, ya khafa mujhse ye jahaan sara hai Sab falsafay beyan bhi kar dun to kyun kum mayar tera hai  Maaf ho meri baad dua wo is qadar jo ghabra rahay hain  Mein k guman mein berbaad sab rahay kardi  Ab mei jese koe besaki jis ko sab azma rahay hain  Khali raaton mein kyun teri batain sata rahi hain  Hum ansuon se dil dho rahe hain  Kuch to bo rahay hain ya tujh mein kahin so rahay hain  Hum kahaaniyan nahi likh rahe bus koray kagaz jala k chor rahay hain  Jo kabhi pori ho na sakay wo dua k sawal kar rahay hain  Hum tanhaiyon mein teri tasveer ko jala rahe hain ya khud mein tujh ko dafna rahay hain  Dil to kabhi tha hi nhi hum shuru se tujhe rooh mein basa rahay hain  Hum goonjtay sanaton mei saanso ko mehka rahai hain....  Hum de chukay tammam umer tum ek pal bhi na rokay  Meri saadgi teri bedili mein khud se gilla karu...

BARISH

Image
  Khud mein jo tufaan hai wo barasta nahi  Kash ye dil yun tarasta nahi Sub khafa mujh se dil bhi kahin lagta nahi  Ek shaks zamane mein yun simatta nahi  Zameer ki uljhaano mein zindagi tham gayi  Jaise kahi tez barish ek dum se tham gae  Saat chalay thay jo wo rasam bhi na jaane kahan reh gae   Mukhtasar na bhi ho manzil mein phir bhi sath raha hun   Tujh Mein ab sadgi to kahi rahi nahi Chirag bujh gay to kya hua mei akela chal to raha hoon  Mujhy khaber nahi tu kis zuba mein razi hai  Tera her ek sitam meri rooh ki he tou phansi hai  Duniya bheegay mere lafzo mein, mein aa yun ab dard ki  barish kar dun  Jo kahani kali ghataon mein kho gae hai aa ab mein us mein yun rawaani bhar dun  Bheeg jea sab, aa ab mein aisi koi kahani kar dun  Ky tere waaday yaar mein saray ab asmani kar dun  Ky ab mein khud ko barbad likhu or teri kahani phir se aadhi kar dun  Jo na ruk k bhi ruk sakay barish aisi mein a...